"Kal se parhun ga" keh keh kar exam aa jata hai. Is tool se 2 minute me apna poora plan banao: exam ki date do, subjects likho, roz kitne ghante parh sakte ho batao — roz ka plan tayyar.
🗓 Apna plan banao
💡 Plan par amal kaise hoga?
Plan kagaz par likh kar deewar par lagao — roz nazar aye to amal hota hai
Har din ke akhir me jo ho gaya us par ✔️ lagao — ye choti si jeet agle din ki himmat hai
Aik din reh jaye to plan todna nahi — agle din se dobara shuru