ICom — Commerce kis ke liye hai, is me kya parho ge, aur is ke baad konse darwaze khulte hain — seedhi aur saaf rehnumai.
Business, bank aur hisaab-kitab ki duniya pasand karne walon ke liye.
Accounting, Principles of Commerce, Business Mathematics/Statistics
Subject combination board aur college ke hisab se thora badal sakta hai — dakhle ke waqt college se lazmi tasdeeq kar lena.
BCom / BS Commerce, BBA, BS Accounting & Finance — phir ACCA ya CA (Chartered Accountancy) ka raasta bhi yahin se khulta hai
CA/ACCA lambi aur mehnat wali manzil hai, lekin is field me izzat aur kamai dono ka bara naam hai.
Saare raaste dekho (Career Guide) · MDCAT Aggregate Calculator · Scholarship Finder · University Section